ye ata bhi hai saqi wah kya nirali hai ek jam chhalka hai ek jam khali hai zakhm patta patta hai dard dali dali hai ai mere chaman aakhir kaun tera mali hai phir tere hasin wade yaad aa gae shayad main ne aarzuon ki bhid phir laga li hai kya meri wafaon ka ab lahu nahin milta tum ne apne hathon mein kyun hina laga li hai ai meri ghazal tere naz kaun uthaega ab na koi 'ghaalib' hai ab na koi 'haali' hai harf harf hira hai lafz lafz moti hai in hasin logon ki baat hi nirali hai pak-baz rindon ko aur hum kahan dhundhen masjiden bhi suni hain mai-kada bhi khali hai 'raaz' ye ghazal apni ek hasin ka sadqa hai sher bhi anokhe hain hain tarz bhi nirali hai