magar in aankhon mein kis subh ke hawale the hamare nam ke sare huruf kale the ye khak-o-baad ye zulmat-o-nur-o-bahr-o-bar kitab-e-jaan mein ye kis zat ke hawale the hai rang rang magar aaftab aaina jabin-e-shab pe to likkhe sawal kale the misal-e-barq giri ek aan tegh-e-hawa abhi darichon se logon ne sar nikale the yahan jo aaj shajar saya-dar hai 'muztar' yahin pe hum bhi kabhi barg-o-bar wale the