magar tum sin hua hai aashna dil ki hum sin ho gaya hai bewafa dil chaman mein os ke qatron ki manind pade hain tujh gali mein ja-ba-ja dil jo gham guzra hai mujh par aashiqi mein so main hi jaanta hun ya mera dil hamara bhi kahata tha kabhi ye sajan tum jaan lo ye hai mera dil kaho ab kya karun dana ki jab yun birah ke bhad mein ja kar pada dil kahan khatir mein lawe 'abru' kun hua us mirza ka aashna dil