kyun malamat is qadar karte ho be-hasil hai ye lag chuka ab chhutna mushkil hai us ka dil hai ye be-qarari sin na kar zalim hamare dil kun mana kyun na tadpe khak o khun mein is qadar bismil hai ye ishq kun majnun ke aflatun samajh sakta nahin go ki samjhawe pe samjhega nahin aaqil hai ye kaun samjhawe mere dil kun koi munsif nahin ghair-e-haq ko chahta hai kyun ita baatil hai ye kaun hai insan ka koi dost aisa jo kahe maut us ki fikr mein lagi hai aur ghafil hai ye aashiqi ke fan mein hai dil sin jhagadna be-hisab kuchh nahin baqi rakha is ilm mein fazil hai ye hum to kahte the ki phir pane ke nahin jaane na do ab gae par 'abru' phir paiye mushkil hai ye