mah-o-KHurshid-o-aKHtar likh raha hun

mah-o-khurshid-o-akhtar likh raha hun
tere chehre ka manzar likh raha hun

bahut tazlil aankhon ki hui hai
so ab har gham ko andar likh raha hun

hararat waqt ki kaise na hogi
main har lamhe ko chhu kar likh raha hun

gham-e-hasti main apna qadd-o-qamat
tere qad ke barabar likh raha hun

main aise daur mein zinda hun ab tak
jabhi khud ko sikandar likh raha hun

tera paikar nazar mein dhal raha hai
ki main husn-e-gul-e-tar likh raha hun

musalsal dhup mein hai raqs apna
ki bachchon ka muqaddar likh raha hun

main ab lagta hun khud ko pure qad ka
magar ye baat jhuk kar likh raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close