mah-paron mein rahe zohra-jamalon mein rahe

mah-paron mein rahe zohra-jamalon mein rahe
hum bahar-haal tere chahne walon mein rahe

mere dam tak to farozan rahi qindil-e-wafa
kya mere baad bhi insan ujalon mein rahe

mabad-e-shab mein tapae hue gulnar badan
muddaton aag ki manind khayalon mein rahe

aur kis se khalish-e-dil ka fasana kahte
jab ki hum khud bhi tumhein pujne walon mein rahe

hum ne paya hai har ek thos haqiqat se khiraj
wo shahanshah nahin hum jo misalon mein rahe

wadi-e-gul se churae hue lamhe 'ishrat'
tis ban ban ke meri ruh ke chhaalon mein rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close