na main ne maut ko samjha na zindagani ko kis aaine mein utarun teri jawani ko badi shadid tamanna hai zindagani ki kabhi qarib se dekha hai zindagani ko bahut dinon se koi hadisa nahin guzra taras raha hai qalam der se rawani ko jigar ke dagh kisi ghat par nahin dhoe bahut sanbhaal ke rakkha teri nishani ko falak ke zulm zamane ke hadse 'ishrat' nikal pade hain mere ghar ki pasbani ko