mah-rukhan ki jo mehrbani hai ye madad mujh pe aasmani hai rashk sin us ke saf chehre ke chashm par aaine ki pani hai dam mein bul-hawas ke aaya nain kyun ki ye baz aashyani hai charb hai shama par jamal us ka shama ki raushni zabani hai us ke rukhsar dekh jita hun aarzi meri zindagani hai sirf surat ka band nain 'naji' aashiq-e-sahab-e-maani hai