mahbub-e-khuda ne tujhe nayab banaya qad sarw kiya rukh gul-e-mahtab banaya jab kuchh na bani ishq ne betab banaya khud ban gaya shoala mujhe simab banaya us husn ke dariya ne jo phir kar mujhe dekha mauj-e-qadam-e-naz ko girdab banaya sarmast-e-shahadat hain tere ishq mein saqi aab-e-dam-e-khanjar ko mai-e-nab banaya aagah kiya ishq ne qanun-e-wafa se jab nakhun-e-shamshir ko mizrab banaya sab uzw-e-badan sham-e-sifat bah gae gal kar is sozish-e-dil ne mujhe sailab banaya ek raat udai na meri dukhtar-e-raz se saqi ne bat-e-mai ko bhi surkhab banaya jism aisa damakta hai ki kapde chamak utthe naino ko tere husn ne kamkhab banaya kab talib-e-rahat hue zakhmi-e-mohabbat marham ki jo hajat hui tezab banaya aariz ne kiya sar-ba-zamin sare gulon ko qamat ne har ek shakh ko mehrab baniya ai 'bahr' bar-o-bahar mein gardish rahe hum ko qismat ne bagula tujhe girdab banaya