gulshan mein bandobast ba-rang-e-digar hai aaj qumri ka tauq halqa-e-bairun-e-dar hai aaj aata hai ek para-e-dil har fughan ke sath tar-e-nafas kamand-e-shikar-e-asar hai aaj ai aafiyat kinara kar ai intizam chal sailab-e-girya darpai-e-diwar-o-dar hai aaj mazuli-e-tapish hui ifraat-e-intizar chashm-e-kushada halqa-e-bairun-e-dar hai aaj hairat-farosh-e-sad-nigarani hai iztirar sar-rishta chaak-e-jeb ka tar-e-nazar hai aaj hun dagh-e-nim-rangi-e-sham-e-visal-e-yar nur-e-charagh-e-bazm se josh-e-sahar hai aaj karti hai aajizi-e-safar sokhtan tamam pairahan-e-khasak mein ghubar-e-sharar hai aaj ta-subh hai ba-manzil-e-maqsad rasidani dud-e-charagh-e-khana ghubar-e-safar hai aaj dur-uftada-e-chaman-e-fikr hai 'asad' murgh-e-khayal bulbul-e-be-baal-o-par hai aaj