mahbub sa andaz-e-bayan be-adabi hai mansur isi jurm mein gardan-zadani hai khud apne hi chehre ka tayyun nahin hota haalanki mera kaam hi aaina-gari hai aane do abhi jubba o dastar pe patthar kuchh kaba-nashinon mein abhi bu-lahbi hai khali hi raha dida-e-pur-shauq ka daman andhon ki aqidat mein wasi-un-nazari hai har panw se uljha hun kati dor ke manind 'tariq' meri qismat ki patang jab se kati hai