mahfil mein ghair hi ko na har bar dekhna meri taraf bhi bhul ke sarkar dekhna aaghaz-e-sabza se hai jo rukhsar par ghubar agle baras ise khat-e-gulzar dekhna jab sarf-e-guftugu hun to dekhe unhen koi manzur ho jo abr-e-guhar-bar dekhna main ne kaha ki hijr mein kuchh mashghala nahin bole ki raat din dar-o-diwar dekhna kahta hun jab main un se banaw-singhaar ko kahte hain koi aur trahdar dekhna main jaan bhi daregh karun to gunahgar mere siwa na aur kharidar dekhna wo mujh se puchhte hain ki kuchh aib to nahin raftar dekhna meri guftar dekhna shaikh-e-zaman qadim rawish ke buzurg hain kitna bada hai gumbad-e-dastar dekhna wo bar bar dekhte hain aaine mein munh allah un ka ru-e-pur-anwar dekhna chalte hain ku-e-yar mein hai waqt-e-imtihan himmat na haarna dil-e-bimar dekhna hoshiyar phunk phunk ke rakhna yahan qadam 'parwin' zara zamane ki raftar dekhna