talluqat to mafruze zindagi ke hain yahan na koi hai apna na hum kisi ke hain na ishq hi ke asar hain na dushmani ke hain ki sare zakhm mere dil pe dosti ke hain charagh agarche numainde raushni ke hain magar ye hai ki ye aasar tirgi ke hain tumhaari tez-rawi degi kya siwa-e-ghubar ki naqsh-e-pa bhi natije subuk-rawi ke hain shokuk kya hain mere dost aagahi ka bulugh yaqin kya hai gharaunde kuchh aagahi ke hain 'jamil' apna sukhan in pe raegan na karo ye maulwi ki sunenge ye maulwi ke hain