mahfuz rahega kya ehsas ka aaina patthar ke muqabil hai almas ka aaina ab chehra-e-mazi bhi pahchana nahin jata yun tut ke bikhra hai itihas ka aaina mafhum to mabni hai qari ki basirat par alfaz se raushan hai qirtas ka aaina is ahd mein rishton ki be-rang dukanon mein hire se bhi mahnga hai wishwas ka aaina is shahr mein yun phaili aazar ki parchhain har shakhs ka chehra hai ab yas ka aaina