mahki hai moattar hai faza us ke labon se husn-e-sukhan aur nam-e-khuda us ke labon se ab wahima-e-ishq ho ya wahima-e-husn sunta to hun kuchh zikr-e-wafa us ke labon se ye naghmagari hila-e-diwana-gari hai aati hai bas ab hu ki sada us ke labon se har baat shagufta hi likhi us ke labon ki har aan shagufa sa khila us ke labon se hoga kahin sapne mein chhupa harf-e-wafa bhi aati to hai khushbu-e-wafa us ke labon se go rabt to kitna hai magar us pe bhi kya zikr sun le jo koi nam mera us ke labon se dushnam bhi pae hue khush-kaam bhi 'haqqi' hum ne bahut inam liya us ke labon se