agarche zauq-dan mein bade kathan bhi hain yahin takhaiyyulat ke hue nidhan bhi hain aqidaten sanbhaalna tumhein pata nahin ki waqt ke khudaon mein kamine-pan bhi hain batao na-murad ke ajib shauq hain rijhae hain ki chum lo mere charan bhi hain mere ajib khabt pe mubahise na kar bahut si makhluqat to ishaaratan bhi hain main apne jild-saz ke kahenusar hun jo be-libas hain miyan wo be-badan bhi hain ye moajizat kya khulenge mujh haqir se 'qamar' ki baat chhodiye kai gagan bhi hain