mahmil hai matlub na laila mangta hai chaak-gireban qais to sahra mangta hai hijr sar-e-virana-e-jaan bhi mohr-ba-lab wasl gali-kuchon mein charcha mangta hai is aaina-khane ka har raqs-kunan apne samne apna tamasha mangta hai na-ummidi lakh qafas ijad kare tair-e-dil parwaz-e-tamanna mangta hai umr bitata hai imroz mein aur makin darwaze par dastak-e-farda mangta hai dhup jawani ka yarana apni jagah thak jata hai jism to saya mangta hai bandh sag-e-awara chaukhat ke andar ek musafir tujh se rasta mangta hai log tawalat se ghabraate hain warna ek zamana sidha rasta mangta hai