rah-e-ishq-o-wafa hai aur main hun ye tera naqsh-e-pa hai aur main hun nigahon mein hai zanjir-e-mohabbat teri zulf-e-dota hai aur main hun shab-e-akhir faza-e-dil mein phaili khamoshi ki rida hai aur main hun yahi hai mukhtasar si apni duniya ye mera aaina hai aur main hun wahi hai hijr ki rut ki udasi wahi qatil hawa hai aur main hun nazar mein hai koi khun-rez manzar koi zakhmi sada hai aur main hun khuda hi jaane hone wala kya hai teri qatil ada hai aur main hun mujhe kya lena dena hai jahan se khayal-e-dil-ruba hai aur main hun wahi hai baadiya-paimai apni wahi aab-o-hawa hai aur main hun