mahr-e-taban hun dhal raha hun main waqt ke sath chal raha hun main fazl-e-rab se hawa muafiq hai bujhne wala tha jal raha hun main mera mahbub shakh-e-gul jaisa soch kar hi machal raha hun main us ko pana bahut kathin tha magar is mission mein saphal raha hun main qadr ki jae mere sheron ki logo moti ugal raha hun main ek taraf rakh diya hai apna mizaj hasb-e-mausam badal raha hun main rahguzar ishq ki are tauba jaise shoalon pe chal ha hun main log mar jate hain 'zaman' in mein jin masail mein pal raha hun mein