meri koshish ka samar hai mukhtalif pyar ka us par asar hai mukhtalif sari duniya mein nahin us ki misal sab se wo rashk-e-qamar hai mukhtalif dil mera taskin pata hai yahan mere ghar se tera ghar hai mukhtalif us ko bhati hain khataen bhi meri man ka andaz-e-nazar hai mukhtalif mujh se aksar muttafiq hota to hai kya hua mujh se agar hai mukhtalif ho gai dushwar rah-e-zindagi mujh se mera ham-safar hai mukhtalif mutmain hai ranj-o-gham mein bhi zaman dar-haqiqat wo bashar hai mukhtalif