mahram ke sitare tutte hain pistan ke anar chhutte hain dil par hai wo sadma-e-judai ghadiyal bhi sina kutte hain koi to mata-e-dil ko puchhe aabaad rahen ja lutte hain aankhon ko bahaega ye rona dariya mein charagh chhutte hain tai kis se ho wadi-e-mohabbat chalte hue panw tutte hain kis ke galon se hamsari kiye sone ke waraq ko kutte hain ye dil use muft bhi hai mahnga hum khush hain ki saste chhutte hain rindon ne diya jo sana apna saqi ki dukan lutte hain kiya shikoh-e-sang ko dukan-e-'bahr' hum par to pahad tutte hain