hai aarmidagi mein nikohish baja mujhe subh-e-watan hai khanda-e-dandan-numa mujhe dhunde hai us mughanni-e-atish-nafas ko ji jis ki sada ho jalwa-e-barq-e-fana mujhe mastana tai karun hun rah-e-wadi-e-khayal ta baz-gasht se na rahe muddaa mujhe karta hai bas-ki bagh mein tu be-hijabiyan aane lagi hai nikhat-e-gul se haya mujhe khulta kisi pe kyun mere dil ka moamla sheron ke intikhab ne ruswa kiya mujhe wan rang-ha ba-parda-e-tadbir hain hunuz yan shola-e-charagh hai barg-e-hina mujhe parwaz-ha niyaz-e-tamasha-e-husn-e-dost baal-e-kushada hai nigah-e-ashna mujhe az-khud-guzashtagi mein khamoshi pe harf hai mauj-e-ghubar-e-surma hui hai sada mujhe ta chand past fitrati-e-tab-e-arzu ya rab mile bulandi-e-dast-e-dua mujhe main ne junun se ki jo 'asad' iltimas-e-rang khun-e-jigar mein ek hi ghota diya mujhe hai pech-tab rishta-e-sham-e-sahar-gahi khajlat gudazi-e-nafas-e-na-rasa mujhe yan aab-o-dana mausam-e-gul mein haram hai zunnar-e-wa-gusista hai mauj-e-saba mujhe yakbar imtihan-e-hawas bhi zarur hai ai josh-e-ishq baada-e-mard-azma mujhe