mahrumiyon ka ek sabab josh-e-talab khud bhi to hai shoale pe lapka is tarah jaise koi gul hi to hai kis wahm kis chakkar mein ho khud-bin bagulon dam to lo sine mein dil ho bhi kahin mana ki betabi to hai sujhe magar kya shama ko apne ujale ke siwa har chand zauq-e-did ka maidan tariki to hai jhanka hai main ne saz mein parda hata kar saz ka naghma nazar aa jaega ye aas beja bhi to hai har bagh mein udta phirun har shakh par girta rahun har gul se khushbu chus lun ab ye meri zid hi to hai hai hai wo shirin jhalkiyan kab tak magar sar phodiye diwar phir diwar hai haalanki shishe ki to hai phir bhi ye dhun hai mauj se dariya ko apne nap lun paimana mera hai ghalat mujh ko khabar itni to hai pita raha kya umr bhar pi kar tamanna ka lahu kuchh din se meri aastin kuchh zer-e-lab kahti to hai hoti kahan tak mustarad be-baki-e-dast-e-saba khulne laga band-e-haya aakhir shagufa hi to hai tamir aakhir kar liya hasrat ne khwabon ka haram shaghl-e-gunah ke waste ye aad bhi kafi to hai mashq-e-khud-ashami karun sairab hona sikh lun labrez khud hai tishnagi saghar mera khali to hai ab sulh kar bhi len 'muhib' tanhaiyon se wahshaten wo mera saya hi sahi ek shai nazar aai to hai