mahaul tirgi ka muqaddar badha gaya ghar ka charagh ghar ke ujale ko kha gaya dekha hai hum ne jalne lagi hain wo bastiyan jin bastiyon se ho ke koi rahnuma gaya insaniyat gharib bhatakti hai dar-ba-dar har shakhs apne khaul-e-ana mein sama gaya hum ne pilaya khun har ek inqalab ko hum ko hi inqalab ka dushman kaha gaya 'rahbar' ye zindagi thi bahut mo'atabar magar mera wajud mujh ko tamasha bana gaya