mahrumiyon ka mujh ko jo aadi bana diya main puchhta hun tujh se diya bhi to kya diya han ai hujum-e-ashk ye achchha nahin hua tu ne hamare zabt ka rutba ghata diya kaise aman milegi hamein tez dhup se suraj ne har darakht ka saya jala diya ek ajnabi ki baat mein jadu ka tha asar patthar dilon mein dard-e-mohabbat jaga diya jab apne sath sath tha khush-haal tha bahut khud se bichhad ke khud ko gadagar bana diya kal raat tere wade ka bhi khul gaya bharam zakhmon ko hanste dekh ke main muskura diya rangini-e-bahaar ke hum muntazir hain kyun baad-e-khizan ne rang-e-gulistan uda diya dil ka charagh khud hi jalaya kabhi 'sadaf' aur khud hi us charagh ko aakhir bujha diya