charche har ek zaban pe husn-e-butan ke hain unwan juda juda isi ek dastan ke hain phulon ke qahqahe hon ki fariyaad-e-andalib donon hi soz-o-saz isi gulistan ke hain rahzan agar hai ghat mein kya shikwa ham-safir khud apne rahbar hi adu karwan ke hain kya khak honge ishq ki manzil se aashna kushta har ek qadam pe jo sud-o-ziyan ke hain jhuk jae walihana jahan khud jabin-e-shauq hum 'qadri' talash mein us aastan ke hain