mahsus jo hota hai ki hum hain bhi nahin bhi dekho to jo hum aaise hon do chaar kahin bhi auham ke asrar bhi kuchh kam nahin gahre chakkar mein bahut aae hain kuchh ahl-e-yaqin bhi az-roz-e-azal hai ki nahin hai ka hai mahshar aur is ka jawab aaj bhi han bhi hai nahin bhi jo baat samajh le wo kahin bhi na milega ghum aao jidhar chaho chale jao kahin bhi iqrar bhi inkar bhi par tol raha hai parwaz se larzan hai meri han bhi nahin bhi aafaq jhuka aae jahan baithe hon chup-chap bas hum se bahut tang falak bhi hai zamin bhi ta-hadd-e-nazar naqsh-e-qadam bhi nahin milta har sang se zahir koi rudad-e-jabin bhi jo naqsh-e-qadam waqt ke hain ret pe ai 'talkh' kuchh aaise falak par bhi hain kuchh zer-e-zamin bhi