mahtab nahin nikla sitare nahin nikle dete jo shab-e-gham mein sahaare nahin nikle kal raat nihatta koi deta tha sadaen hum ghar se magar khauf ke mare nahin nikle kya chhod ke basti ko gaya tu ki tere baad phir ghar se tere hijr ke mare nahin nikle baithe raho kuchh der abhi aur muqabil arman abhi dil ke hamare nahin nikle nikli to hain saj-dhaj ke teri yaad ki pariyan khwabon ke magar raj dulare nahin nikle kab ahl-e-wafa jaan ki bazi nahin haare kab ishq mein jaanon ke khasare nahin nikle andaz koi dubne ke sikhe to hum se hum dub ke dariya ke kinare nahin nikle wo log ki the jin pe bharose hamein kya kya dekha to wahi log hamare nahin nikle ashaar mein daftar hai maani ka bhi 'rahbar' hum lafzon hi ke mahz sahaare nahin nikle