mahtab-sifat log yahan khak-basar hain hum mahw-e-tamasha-e-sar-e-rah-guzar hain hasrat si barasti hai dar-o-baam pe har su roti hui galiyan hain sisakte hue ghar hain aae the yahan jin ke tasawwur ke sahaare wo chand wo suraj wo shab-o-roz kidhar hain soe ho ghani zulf ke sae mein abhi tak ai rah-rawan kya yahi andaz-e-safar hain wo log qadam jin ke liye kahkashan ne wo log bhi ai ham-nafaso hum se bashar hain bik jaen jo har shakhs ke hathon sar-e-bazar hum yusuf-e-kanan hain na hum lal-o-gohar hain hum log milenge to mohabbat se milenge hum nuzhat-e-mahtab hain hum nur-e-sahar hain