mahw-e-sajda kabhi masruf-e-dua hota hun

mahw-e-sajda kabhi masruf-e-dua hota hun
ek lamha bhi agar tujh se juda hota hun

baat karta hun to hota hun qayamat ka sukut
aur khamosh jo hota hun sada hota hun

apne jazbaat pe rakhta hun mukammal qabu
main kisi par badi mushkil se fida hota hun

meri fitrat hi nahin chikhne chillane ki
main to khud se bhi saliqe se juda hota hun

main nae ahd ki tahqiq hun takhliq nahin
raaz ki tarah kitabon mein chhupa hota hun

aankh mein hun to nazar aata hun ek qatra-e-ashk
phail jaun to samundar se siwa hota hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close