maine ghabra ke jo bhige hue lab chume the

main ne ghabra ke jo bhige hue lab chume the
waqt-e-rukhsat tere rone ke sabab chume the

apne honton ke taqaddus pe bahut naz na kar
tu ne patthar ke tarashe hue rab chume the

us ki aankhon se jo rukhsar pe dhalke aansu
main ne moti ki tarah pyar se sab chume the

aasman ko bhi to mearaj mili jab us ne
panw insan ke mearaj ki shab chume the

mujh ko wahshi na samajh tere mahakte hue lab
main ne ghaflat mein bhi ba-hadd-e-adab chume the

lams abhi tak hai mere honton pe un honton ka
aur mujhe ye bhi nahin yaad ki kab chume the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close