mahw hun main jo us sitamgar ka hai gila apne haal-e-abtar ka haal likhta hun jaan-e-muztar ka rag-e-bismil hai tar mistar ka aankh phirne se teri mujh ko hua gardish-e-dahr daur saghar ka shola-ru yar shola-rang sharab kaam yan kya hai daman-e-tar ka shauq ko aaj be-qarari hai aur wada hai roz-e-mahshar ka naqsh-e-taskhir-e-ghair ko us ne khun liya to mere kabutar ka meri nakaami se falak ko husul kaam hai ye usi sitamgar ka us ne aashiq likha adu ko laqab hae likkha mere muqaddar ka aap se lahza lahza jate ho 'shefta' hai khayal kis ghar ka