ju-e-taza kisi kohsar-e-kuhan se aae ye hunar yun nahin aata hai jatan se aae log nazuk the aur ehsas ke virane tak wo guzarte hue aankhon ki jalan se aae shahr-e-gul kasa-e-darwesh bana baitha hai koi shoala kisi jalte hue ban se aae dard ki mauj-e-subuk-sair mein bah jaunga chahe wo jaan se chahe wo badan se aae subh ke sath ajab lazzat-e-daryuza-gari raat-bhar sochte rahne ki thakan se aae aise zalim hain mere dost ki sunte hi nahin jab talak khun ki khushbu na sukhan se aae