mai-e-gul-rang se labrez rahen jam safed

mai-e-gul-rang se labrez rahen jam safed
chashm-e-bad-bin ko kare gardish-e-ayyam safed

bas-ki us but ki tabiat hai zamane se khilaf
subh poshak siyah hai to sar-e-sham safed

kaun si sham nahin subh hui ai maghrur
ek din hoti hai ye zulf-e-siyah-fam safed

qatra-e-ashk mein surkhi ka kahin nam nahin
lahu tera bhi hua ai dil-e-nakaam safed

dil ki taskin ko main paigham safa ka samjhun
purza kaghaz ka jo bheje wo gul-andam safed

chandni raat mein wo mah jo yaad aata hai
katne daudte hain mujh ko dar-o-baam safed

wasl ki shab jo hui subh yakayak to hua
main idhar zard udhar ru-e-dilaram safed

nisbat us fitna-e-dauran se koi andha de
yar ki aankh siyah dida-e-baadam safed

kisi haalat mein nahin fikr se dushman ghafil
aafat-e-murgh hai rangin ho baadam safed

bas hai itni hi zamana ki do-rangi 'atish'
mai-e-gul-rang se labrez rahen jam safed


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close