maut mangun to rahe aarzu-e-KHwab mujhe

maut mangun to rahe aarzu-e-khwab mujhe
dubne jaun to dariya mile payab mujhe

meri iza ke liye murde mein jaan aati hai
katne daudti hai mahi-e-be-ab mujhe

dahan-e-gurg se jita jo bachun sahra mein
zabh karne ke liye mol le qassab mujhe

hun tasawwur mein safa-e-badan-e-yar ke gharq
halqa-e-naf hua halqa-e-girdab mujhe

mardum-e-dida-e-qurbani hun main diwana
aae darwaza khule bin na kabhi khwab mujhe

ai falak rahne de uryan hi pas-az-marg bhi tu
sonpta kya hai kafan-duzd ka asbab mujhe

nahin rakhte hain amiri ki hawas mard-e-faqir
sher ki khaal hi hai qaqum-o-sanjab mujhe

josh se ashkon ke phir jaega sar par pani
khinch le jaega dariya mein ye sailab mujhe

dair o kaba mein un aankhon se nahin halqa-e-dar
koi abru se dikhata nahin mehrab mujhe

furqat-e-yar mein karti hai qayamat barpa
roz-e-mahshar se nahin kam shab-e-mahtab mujhe

maraz-e-ishq se bach jaun jo tum dilwa do
sadqa apne lab-e-jaan-bakhsh ka unnab mujhe

chain lene na diya dard-e-judai ne kabhi
kab main soya ki jagaya nahin bad-khwab mujhe

nahin bhola hai junun mein wo hawas ud jaana
yaad hai barhami-e-sohbat-e-ahbab mujhe

nam ko mere bhi ahbab mein apne likkhe
zarra samjha rahe wo mahr-e-jahan-tab mujhe

dil ghani chahiye go hun main faqir ai 'atish'
sher ki khaal hi hai qaqum-o-sanjab mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close