mai-kade ke bujh gae sare charagh karb-e-jaan-sozi se dil haare charagh meri palkon par jale the jo kabhi ban gae wo arsh ke tare charagh dard se kuchh is tarah simti hai lau aah bhar kar chup hain bechaare charagh main wo rahraw hun ki jis ki rah mein tirgi ne har qadam ware charagh 'bakht' zarf-e-anjuman par raat bhar timtimae dard ke mare charagh