shanasa-e-salib-e-gham badan hai ye apna aap hi goya kafan hai mujhe ruswa kya kam-maegi ne mera hi zarf mujh par tana-zan hai pata deti hai lau ye tharthara kar fasurda-dil charagh-e-anjuman hai lagao tohmat-e-isyan na is par nahin yusuf ka mera pairahan hai aziz-e-misr aur qurb-e-zulekha nigar-e-khwab ka ye husn-e-zan hai fidai zindagi paen ajal se ishaaron ki yahi rasm-e-kohan hai hamin ne zindagi teshe ko bakhshi hamin se azmat dar-o-rasan hai kiya zanjir-e-pa mahmil-nashin ko jabin-e-waqt par kaisi shikan hai usi jalwe se 'bakht' aankhen hain raushan wahi jalwa nigahon ka kafan hai