mai-kade ke siwa mili hai kahan aur duniya mein raushni hai kahan aarzuon ka ek hujum sahi fursat-e-shauq kho gai hai kahan jitne warafta-e-safar hain hum utni rahon mein dilkashi hai kahan sath aae koi ki rah jae zindagi mud ke dekhti hai kahan khush-ada sab hain aashna 'jawed' apni aawargi chhupi hai kahan