mail-ba-karam mujh par ho jaen to achchha ho maqbul mere sajde ho jaen to achchha ho is dasht-nawardi se pichha to kahin chhute hum kucha-e-jaanan mein mar jaen to achchha ho sar ho dar-e-jaanan pe dam apna nikal jae ye kaam mohabbat mein kar jaen to achchha ho yun to sabhi aae hain dafnane mujhe lekin wo bhi meri mayyat pe aa jaen to achchha ho phir dard-e-judai ka jhagda na rahe koi hum nam tera le kar mar jaen to achchha ho dekhen na kisi ko hum phir dekh ke rukh tera didar tera kar ke mar jaen to achchha ho rah jae mohabbat ka duniya mein bharam kuchh to do phul hi turbat pe dhar jaen to achchha ho dhadka laga rahta hai har waqt balaon ka hum sath nasheman ke jal jaen to achchha ho badnam hi karne ko aaen wo magar aaen wo itna karam mujh par kar jaen to achchha ho ja sakte hain jaane ko hum chal ke 'fana' dekhen wo khud hamein mahfil mein bulwaen to achchha ho