zindagi khauf se tashkil nahin karni mujhe raat se zat ki takmil nahin karni mujhe kisi darwesh ke hujre se abhi aaya hun so tere hukm ki tamil nahin karni mujhe chhod di dasht-nawardi bhi ziyan-kari bhi zindagi ab teri tazlil nahin karni mujhe dil ke bazar mein zanjir-zani honi nahin aankh bhi aankh rahe jhil nahin karni mujhe main ki ilhad ke girdab mein aaya hua hun ab kisi ilm ki tahsil nahin karni mujhe ladte rahna hai tasalsul se mujhe subh talak aur talwar bhi tabdil nahin karni mujhe