mail-e-raqs-e-sharar baithe hain kar ke tufan pe nazar baithe hain wo jo ba-dida-e-tar baithe hain ranj-o-alam se dar baithe hain ab to jal jaana hi hoga behtar dosti shama se kar baithe hain dard ki raat kathin hai lekin le ke ummid-e-sahar baithe hain gham ke tufan ko sadaf mein tan kar hum ba-andaz-e-guhar baithe hain zindagi dhaal bane ya na bane maut se sina-sipar baithe hain