mayus andheron se na a dida-e-tar ho aakhir to kabhi is shab-e-gham ki bhi sahar ho ab shauq ka izhaar ba-andaz-e-digar ho dil tut bhi jae to kisi ko na khabar ho shayad ki kabhi us ko bhi ho jae mohabbat shayad ki kabhi us ki bhi aankhon mein basar ho ho dil mein bapa hashr to ho lab pe khamoshi yun kijiye ulfat ki unhen bhi na khabar ho wada to hua hai ki wo aaenge sar-e-sham ab dekhiye kis rang mein is shab ki sahar ho kab tak main rahun mahw-e-sukut-e-shab-e-hijran ai qalb-e-hazin nala bapa kar ki sahar ho ek umr kati khana-badoshi mein hamari hasrat hai ki duniya mein koi apna bhi ghar ho tum waris-e-jamshed-o-sikandar sahi lekin ai kash tumhein apne watan ki bhi khabar ho sejon pe kate umr ki kanton pe 'tabassum' bas ek tamanna hai mohabbat mein basar ho