main aarzu-e-jaan likhun ya jaan-e-arzu! tu hi bata de naz se iman-e-arzu! aansu nikal rahe hain tasawwur mein ban ke phul shadab ho raha hai gulistan-e-arzu! iman o jaan nisar teri ek nigah par tu jaan-e-arzu hai tu iman-e-arzu! hone ko hai tulu sabah-e-shab-e-visal bujhne ko hai charagh-e-shabistan-e-arzu! ek wo ki aarzuon pe jite hain umr bhar ek hum ki hain abhi se pashiman-e-arzu! aankhon se ju-e-khun hai rawan dil hai dagh dagh dekhe koi bahaar-e-gulistan-e-arzu! dil mein nashat-e-rafta ki dhundli si yaad hai ya sham-e-wasl hai tah-e-daman-e-arzu! 'akhtar' ko zindagi ka bharosa nahin raha jab se luta chuke sar-o-saman-e-arzu!