main aashiqi mein tab sun afsana ho raha hun teri nigah ka jab sun diwana ho raha hun ai aashna karam sun yak bar aa daras de tujh baj sab jahan sun begana ho raha hun baatan lagan ki mat puchh ai sham-e-bazm-e-khubi muddat se tujh jhalak ka parwana ho raha hun shayad wo ganj-e-khubi aawe kisi taraf sun is waste sarapa virana ho raha hun sauda-e-zulf-e-khuban rakhta hun dil mein daim zanjir-e-ashiqi ka diwana ho raha hun barja hai gar sunun nain naseh teri nasihat main jam-e-ishq pi kar mastana ho raha hun kis sun 'wali' apas ka ahwal ja kahun main sar-ta-qadam main gham sun gham-khana ho raha hun