main aasman mein pahla sitara dekhte hi hun apne aap se kharij khasara dekhte hi tha raunaqon mein ghira jab tha bich dariya ke ab aabdida hun khali kinara dekhte hi nashat-e-jazb se main apne hosh kho baitha junun ka sar mein bahut aashkara dekhte hi hai kaisa dard jo dil ke hua hai daman-gir nazar pe bar hon rang-e-nazara dekhte hi abhi main sahar ki pahli nazar se nikla na tha tamasha ban gaya us ko dobara dekhte hi bas ab ye hoga ki tum par hi aanch aaegi 'tur' bhadak utha hai wo dil ka shumara dekhte hi