silsila sanson ka yun be-zabta ho jaega

silsila sanson ka yun be-zabta ho jaega
raat din pina hi jehd-e-la-baqa ho jaega

juz-o-la-yanfak rahe gar zist ke karb-o-alam
mera apna aap kuchh ho ain la ho jaega

gar yunhi iza-kash-e-haalat rahna hi pada
kuchh ka kuchh sab aur jaane kya se kya ho jaega

baad tere pith suraj ki taraf karni padi
ho na ho ab mujh se saya bhi juda ho jaega

din-ba-din girte rahe aqdar to anjam-e-kar
kal ko jo kuchh na-rawa tha sab rawa ho jaega

qafile yaadon ke yun aate rahe to ek din
qatra qatra aansuon ka be-haya ho jaega

sirf ek jast-e-junun tak hai ye dasht in-o-an
baad is ke jo bhi khota hai khara ho jaega

dub jaunga kisi saghar mein ek din mera kya
jis ka jo kuchh bhi hai mujh par wo ada ho jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close