main ab mazi ka har sapna suhana bhul jata hun meri jaanan tera milna-milana bhul jata hun wo mera dost tha ab dushman-e-jaan ban gaya hai jab main us ko dekh kar apna nishana bhul jata hun jo kal tak yar tha mera magar ab ghair hai yaro tabhi to us se ab dil ka lagana bhul jata hun kabhi jis ne diya tha dard mujh ko rah-e-ulfat mein wo dard-e-dil meri jaanan purana bhul jata hun likha tha shair-e-mashriq ne apne khun se jis ko ajab haalat hain ab wo tarana bhul jata hun daricha band rahta hai ab us ke ghar ka ai 'sajid' main ab mahbub ke kuche mein jaana bhul jata hun