shauq ko be-adab kiya ishq ko hausla diya uzr-e-nigah-e-dost ne jurm-e-nazar sikha diya aah wo bad-nasib aah nala-e-andalib-e-ah mera fasana-e-alam jaise mujhe suna diya tut saka na pasti-e-fikr-o-nazar ka silsila dam na qafas ko hum ne khud dam-o-qafas bana diya mere mazaq-e-did ki sharm usi ke hath hai jis ne shua-e-husn ko husn-e-nazar bana diya naz-o-niyaz aashna taghaful-e-e'tibar hae kis ehtimam se tum ne mujhe mita diya khub ilaj kar diya apne mariz-e-ishq ka dard mitane aae the dard diya mita diya hae wo husn-o-ishq jab 'basit'-e-be-qarar ko barq-e-nigah-e-dost ne phunk diya jala diya