main agar aap se jaun to qarar aa jae par ye darta hun ki aisa na ho yar aa jae bandho ab chaaragaro chille ki wo bhi shayad wasl-e-dushman ke liye su-e-mazar aa jae kar zara aur bhi ai josh-e-junun khwar o zalil mujh se aisa ho ki naseh ko bhi aar aa jae nam-e-bad-bakhti-e-ushshaq-e-khizan hai bulbul tu agar nikle chaman se to bahaar aa jae jite ji ghair ko ho aatish-e-dozakh ka azab gar meri nash pe wo shola-azar aa jae kulfat-e-hijr ko kya roun tere samne main dil jo khali ho to aankhon mein ghubar aa jae mahw-e-dildar hun kis tarah na hun dushman-e-jaan mujh pe jab naseh-e-bedard ko pyar aa jae thahar ja josh-e-tapish hai to tadapna lekin chaarasazon mein zara dam dil-e-zar aa jae husn-e-anjam ka 'momin' mere bare hai khayal yani kahta hai wo kafir ki tu mara jae