khali aashiq se kabhi kucha-e-jaanan na raha kaun si shab wo thi jis mein koi giryan na raha dekhiye nakhun-e-wahshat ke sabab aashiq ka tar-e-daman na raha tar-e-gareban na raha shaikh kya waz sunata hai dikhane ke liye dil mein taswir-e-sanam hai tera iman na raha ho gaya sath dil-e-zar ke wo bhi rukhsat maya-e-zist jo apna tha wo arman na raha ham-safiro na kaho naghma-zani ko mujh se ab chali baad-e-khizan aur gul-e-khandan na raha rukh dikhate hi kiya mahw-e-tamasha tu ne kab tera shefta aaina sa hairan na raha ashk-e-dida to hue khushk 'jamila' kah do khizr tum aae to kya chashma-e-haiwan na raha